is bayaban se jahan hain sari rahen ajnabi
is bayābāñ se jahāñ meñ saarī rāheñ ajnabī
chalte haiñ mere fuġhāñ merī ye aa.heñ ajnabī
arz pe āvārgī aflāk meñ begāngī
ham-safar haiñ sirf tāroñ kī nigāheñ ajnabī
phailtā hai shahr-e-dil meñ har kahīñ par intishār
hamla karne aatī haiñ ġham kī sipāheñ ajnabī
ham kyoñ jaa.eñ ai divāno hosh vāloñ ke dayār
hosh kī jo haiñ panāheñ haiñ panāheñ ajnabī
'rāhī' ko dair-āshnā sī ek din lipTegī maut
bhīñchtī haiñ ham ko ab hastī kī bāheñ ajnabī
is bayaban se jahan mein sari rahen ajnabi
chalte hain mere fughan meri ye aahen ajnabi
arz pe aawargi aflak mein begangi
ham-safar hain sirf taron ki nigahen ajnabi
phailta hai shahr-e-dil mein har kahin par intishaar
hamla karne aati hain gham ki sipahen ajnabi
hum kyon jaen ai diwano hosh walon ke dayar
hosh ki jo hain panahen hain panahen ajnabi
'rahi' ko dair-ashna si ek din lipTegi maut
bhinchti hain hum ko ab hasti ki bahen ajnabi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.