is bhare shahr mein tanha hum the
is bhare shahr meñ tanhā ham the
yā'nī ḳhud apne shanāsā ham the
TūTte lamhoñ kā ik karb liye
apne hone kā tamāshā ham the
ḳhaak meñ mil ke bhī raushan the bahut
kyā kaheñ kis kā ujālā ham the
Dūbtī shaam ke hamrāh yahāñ
Duub jaane kā salīqa ham the
tū ne ḳhud ham ko salībeñ baḳhshīñ
zindagī tere masīhā ham the
dard ko harf banāne meñ yahāñ
log kahte haiñ ki yaktā ham the
uḌ ga.e ban ke ġhubār-e-ranjish
kyā kisī yaad kā chehrā ham the
jalte lafzoñ kī tamāzat meñ 'shakīl'
apnī āvāz kā saaya ham the
is bhare shahr mein tanha hum the
ya'ni KHud apne shanasa hum the
TuTte lamhon ka ek karb liye
apne hone ka tamasha hum the
KHak mein mil ke bhi raushan the bahut
kya kahen kis ka ujala hum the
Dubti sham ke hamrah yahan
Dub jaane ka saliqa hum the
tu ne KHud hum ko saliben baKHshin
zindagi tere masiha hum the
dard ko harf banane mein yahan
log kahte hain ki yakta hum the
uD gae ban ke ghubar-e-ranjish
kya kisi yaad ka chehra hum the
jalte lafzon ki tamazat mein 'shakil'
apni aawaz ka saya hum the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.