is bharose pe ki shayad koi aae ghar mein
is bharose pe ki shāyad koī aa.e ghar meñ
ham ne dīvār nahīñ dar bhī banā.e ghar meñ
kaun ab naql-e-makānī kī uThā.e zahmat
kaun ābād kare ḳhud ko parā.e ghar meñ
chaliye tāqoñ pe nahīñ to mirī palkoñ pe sahī
kuchh diye to kaf-e-vahshat ne jalā.e ghar meñ
ḳhāk-jismoñ meñ koī ḳhatrā nahīñ hai dil ko
sang mahfūz haiñ miTTī ke banā.e ghar meñ
jis ko rakhnī ho mohabbat kī chamak āñkhoñ meñ
qais-o-farhād kī tasvīr lagā.e ghar meñ
merī bīnā.ī ne ḳhalvat se nikālā mujh ko
merī tanhā.ī ne paidā kiye saa.e ghar meñ
is bharose pe ki shayad koi aae ghar mein
hum ne diwar nahin dar bhi banae ghar mein
kaun ab naql-e-makani ki uThae zahmat
kaun aabaad kare KHud ko parae ghar mein
chaliye taqon pe nahin to meri palkon pe sahi
kuchh diye to kaf-e-wahshat ne jalae ghar mein
KHak-jismon mein koi KHatra nahin hai dil ko
sang mahfuz hain miTTi ke banae ghar mein
jis ko rakhni ho mohabbat ki chamak aankhon mein
qais-o-farhad ki taswir lagae ghar mein
meri binai ne KHalwat se nikala mujh ko
meri tanhai ne paida kiye sae ghar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.