is bhul mein na rah ki ye jhonke hawa ke hain
is bhuul meñ na rah ki ye jhoñke havā ke haiñ
tevar to un ke dekh zarā kis balā ke haiñ
kyā mājrā hai ai but-e-tauba-shikan ki aaj
charche tirī galī meñ kisī pārsā ke haiñ
is chashm-e-nīm-vā kī hai mastī sharāb meñ
sāġhar meñ saare rañg usī kī hayā ke haiñ
hastī kī qaid kāTte rahte haiñ rāt-din
kyā jaane kitne saal hamārī sazā ke haiñ
ai shaiḳh kyā Darātā hai maidān-e-hashr se
ham bandagān-e-ḳhalq bhī bande ḳhudā ke haiñ
hai ḳhauf kuchh to mauj-e-talātum kā bhī magar
ham log zaḳhm-ḳhurda but-e-nāḳhudā ke haiñ
rahnā paḌā hai duur karachi se varna ham
is shahr-e-be-misāl ke āshiq sadā ke haiñ
raa.ij raheñge shahr-e-suḳhan meñ hamāre sher
sikke haiñ ye khare ki ye qisse vafā ke haiñ
rakhtā hai ik salīqa-e-iz.hār muḳhtalif
sab mo'tarif 'ḳhalīl' kī tarz-e-adā ke haiñ
is bhul mein na rah ki ye jhonke hawa ke hain
tewar to un ke dekh zara kis bala ke hain
kya majra hai ai but-e-tauba-shikan ki aaj
charche teri gali mein kisi parsa ke hain
is chashm-e-nim-wa ki hai masti sharab mein
saghar mein sare rang usi ki haya ke hain
hasti ki qaid kaTte rahte hain raat-din
kya jaane kitne sal hamari saza ke hain
ai shaiKH kya Daraata hai maidan-e-hashr se
hum bandagan-e-KHalq bhi bande KHuda ke hain
hai KHauf kuchh to mauj-e-talatum ka bhi magar
hum log zaKHm-KHurda but-e-naKHuda ke hain
rahna paDa hai dur karachi se warna hum
is shahr-e-be-misal ke aashiq sada ke hain
raij rahenge shahr-e-suKHan mein hamare sher
sikke hain ye khare ki ye qisse wafa ke hain
rakhta hai ek saliqa-e-izhaar muKHtalif
sab mo'tarif 'KHalil' ki tarz-e-ada ke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.