is chand se chehre ko dikha kyun nahin dete
is chāñd se chehre ko dikhā kyuuñ nahīñ dete
hasrat ye mire dil kī miTā kyuuñ nahīñ dete
ḳhalvat meñ to kahte ho ki tum jaan ho merī
ye baat zamāne ko batā kyuuñ nahīñ dete
ye baat agar sach hai ki tum pīr-e-muġhāñ ho
is riñd ko jī bhar ke pilā kyuuñ nahīñ dete
maqsūd nahīñ nasl kī islāh agar ho
aslāf ke ausāf batā kyuuñ nahīñ dete
aḳhlāq se kirdār se ulfat se jahāñ meñ
nafrat ke añdheroñ ko miTā kyuuñ nahīñ dete
maiñ ho ke vafādār bhī mulzim huuñ jafā kā
phir merī vafāoñ ko bhulā kyuuñ nahīñ dete
nafrat ke ghaTā-Top añdhere meñ 'zakī' tum
ik sham.a mohabbat kī jilā kyoñ nahīñ dete
is chand se chehre ko dikha kyun nahin dete
hasrat ye mere dil ki miTa kyun nahin dete
KHalwat mein to kahte ho ki tum jaan ho meri
ye baat zamane ko bata kyun nahin dete
ye baat agar sach hai ki tum pir-e-mughan ho
is rind ko ji bhar ke pila kyun nahin dete
maqsud nahin nasl ki islah agar ho
aslaf ke ausaf bata kyun nahin dete
aKHlaq se kirdar se ulfat se jahan mein
nafrat ke andheron ko miTa kyun nahin dete
main ho ke wafadar bhi mulzim hun jafa ka
phir meri wafaon ko bhula kyun nahin dete
nafrat ke ghaTa-Top andhere mein 'zaki' tum
ek shama mohabbat ki jila kyon nahin dete
- Book : ضبط فغاں(شعری مجموعہ) (Pg. 110)
- Author : کوکب ذکی
- Publication : وشواس پبلی کیشنز ،حیدرآباد (2016)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.