is chaman mein ham-nafas kyon is qadar nayab hai
is chaman meñ ham-nafas kyoñ is qadar nāyāb hai
har mamolā kyoñ samajhtā hai ki vo surḳhāb hai
maiñ to samjhā thā ki dariyā-e-sitam pāyāb hai
kyā patā thā do kināroñ meñ chhupā sailāb hai
kyoñ tirī ḳhushbū se mahkā ek ik zarra yahāñ
kyoñ tirī āvāz merī ruuh kā mizrāb hai
ek maiñ hī to nahīñ is shahr meñ kuchh be-qarār
jāñ-ba-lab terī talab meñ har koī betāb hai
ik jagah par Tik ke baiThe ye to ho saktā nahīñ
har ghaḌī harakat meñ rahtā hai ye dil sīmāb hai
hai kisī ke husn ke sūraj kī ik halkī kiran
ḳhud se raushan hai kahāñ chehra agar mahtāb hai
ghaat meñ rustam tirī taqdīr kā baiThā huā
garche tū apne ta.iiñ tadbīr kā sohrāb hai
dard kā dariyā 'hidāyat' sher ke kuuze meñ band
aur ġhazal kī bahr meñ afkār kā girdāb hai
is chaman mein ham-nafas kyon is qadar nayab hai
har mamola kyon samajhta hai ki wo surKHab hai
main to samjha tha ki dariya-e-sitam payab hai
kya pata tha do kinaron mein chhupa sailab hai
kyon teri KHushbu se mahka ek ek zarra yahan
kyon teri aawaz meri ruh ka mizrab hai
ek main hi to nahin is shahr mein kuchh be-qarar
jaan-ba-lab teri talab mein har koi betab hai
ek jagah par Tik ke baiThe ye to ho sakta nahin
har ghaDi harakat mein rahta hai ye dil simab hai
hai kisi ke husn ke suraj ki ek halki kiran
KHud se raushan hai kahan chehra agar mahtab hai
ghat mein rustam teri taqdir ka baiTha hua
garche tu apne tain tadbir ka sohrab hai
dard ka dariya 'hidayat' sher ke kuze mein band
aur ghazal ki bahr mein afkar ka girdab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.