is chaman-zar ko sahra na banao yaro
is chaman-zār ko sahrā na banāo yaaro
apne hāthoñ se nasheman na jalāo yaaro
choT lagte hī bikhar jā.egā ā.īna-e-dil
sang-dil mat bano patthar na uThāo yaaro
us ne chāhā to liyā kaam abābīloñ se
us ke darbār meñ sar apnā jhukāo yaaro
darj tārīḳh ke aurāq meñ honā hai tumheñ
is qadar ḳhud ko na majbūr banāo yaaro
azmat-e-ḳhāk-e-vatan par na kahīñ harf aa.e
hai vatan ḳhatre meñ ab hosh meñ aao yaaro
mujh ko hai ḳhauf ki aañsū na baras jaa.eñ kahīñ
shīsha-e-dil ko na tum Thes lagāo yaaro
Duube kashtī na kahīñ 'dāġh' ke armānoñ kī
bahr-e-jazbāt meñ tūfān uThāo yaaro
is chaman-zar ko sahra na banao yaro
apne hathon se nasheman na jalao yaro
choT lagte hi bikhar jaega aaina-e-dil
sang-dil mat bano patthar na uThao yaro
us ne chaha to liya kaam ababilon se
us ke darbar mein sar apna jhukao yaro
darj tariKH ke auraq mein hona hai tumhein
is qadar KHud ko na majbur banao yaro
azmat-e-KHak-e-watan par na kahin harf aae
hai watan KHatre mein ab hosh mein aao yaro
mujh ko hai KHauf ki aansu na baras jaen kahin
shisha-e-dil ko na tum Thes lagao yaro
Dube kashti na kahin 'dagh' ke armanon ki
bahr-e-jazbaat mein tufan uThao yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.