is chashm-e-nam se manzar-e-hairan chala gaya
is chashm-e-nam se manzar-e-hairāñ chalā gayā
ḳhvāboñ kā ik jahān-e-gulistāñ chalā gayā
shahroñ meñ aa ke bas ga.e haivān jis ghaḌī
ġhāroñ meñ phir se aaj insāñ chalā gayā
kuchh vasvasoñ meñ aise kaTī umr-e-be-amāñ
is zindagī se rishta-e-īqāñ chalā gayā
shartoñ pe āj-kal to nibhāte haiñ āshiqī
tab hī to chāhatoñ se ye paimāñ chalā gayā
zāhid kī kuchh hikāyateñ sun kar lagā mujhe
bas diin rah gayā yahāñ īmāñ chalā gayā
ye dhaḌkaneñ tumhārī to 'sīmā' fareb haiñ
dil se agar jo jazba-e-ehsāñ chalā gayā
is chashm-e-nam se manzar-e-hairan chala gaya
KHwabon ka ek jahan-e-gulistan chala gaya
shahron mein aa ke bas gae haiwan jis ghaDi
ghaaron mein phir se aaj insan chala gaya
kuchh waswason mein aise kaTi umr-e-be-aman
is zindagi se rishta-e-iqan chala gaya
sharton pe aaj-kal to nibhate hain aashiqi
tab hi to chahaton se ye paiman chala gaya
zahid ki kuchh hikayaten sun kar laga mujhe
bas din rah gaya yahan iman chala gaya
ye dhaDkanen tumhaari to 'sima' fareb hain
dil se agar jo jazba-e-ehsan chala gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.