is chhoTe se shahr mein kab tak chhupa rahega aaKHir wo
is chhoTe se shahr meñ kab tak chhupā rahegā āḳhir vo
yahīñ kahīñ pe Dhātā hogā koī nayā man mandir vo
aag sī ḳhaslat havā tabī.at bas ye hī ausāf bache
paanī miTTī jaise bhuul ke aaya kahāñ anāsir vo
nā-mumkin thā ham donoñ meñ kārobār mohabbat kā
merā thā īmān vafā par aur vafā kā tājir vo
donoñ apnī apnī riit nibhāne par majbūr hue
maiñ ik peḌ thī jaise rasta bhūlā ek musāfir vo
ā.īne be-aib sabhī the lekin phir bhī toḌ gayā
ye āsāñ thā apne naqsh badalne se thā qāsir vo
luuT ke jo le jaa.eñ bastī un ko luuTe tanhā.ī
apne ghar se ik din ho jā.egā 'nūr' muhājir vo
is chhoTe se shahr mein kab tak chhupa rahega aaKHir wo
yahin kahin pe Dhata hoga koi naya man mandir wo
aag si KHaslat hawa tabiat bas ye hi ausaf bache
pani miTTi jaise bhul ke aaya kahan anasir wo
na-mumkin tha hum donon mein karobar mohabbat ka
mera tha iman wafa par aur wafa ka tajir wo
donon apni apni rit nibhane par majbur hue
main ek peD thi jaise rasta bhula ek musafir wo
aaine be-aib sabhi the lekin phir bhi toD gaya
ye aasan tha apne naqsh badalne se tha qasir wo
luT ke jo le jaen basti un ko luTe tanhai
apne ghar se ek din ho jaega 'nur' muhajir wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.