is darja hai jahan mein shuur-e-baqa mujhe
is darja hai jahāñ meñ shu'ūr-e-baqā mujhe
chhūte hue laraztā hai dast-e-fanā mujhe
merī nigāhoñ meñ vo safar zindagī kā hai
manzil har ek jis kī hai manzil-numā mujhe
kuchh duur mere saath chale shaiḳh-o-barhaman
aur aage phir milā na kisī kā patā mujhe
zulmat meñ bhī rasā.ī-e-manzil kā hai yaqīñ
mash'al dikhā rahe haiñ tire naqsh-e-pā mujhe
'rehānī' un ko dekh ke mahv-e-ḳhirām-e-nāz
har gaam par bahār kā dhokā huā mujhe
is darja hai jahan mein shu'ur-e-baqa mujhe
chhute hue larazta hai dast-e-fana mujhe
meri nigahon mein wo safar zindagi ka hai
manzil har ek jis ki hai manzil-numa mujhe
kuchh dur mere sath chale shaiKH-o-barhaman
aur aage phir mila na kisi ka pata mujhe
zulmat mein bhi rasai-e-manzil ka hai yaqin
mash'al dikha rahe hain tere naqsh-e-pa mujhe
'rehani' un ko dekh ke mahw-e-KHiram-e-naz
har gam par bahaar ka dhoka hua mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.