is darja hai kyon mujh pe inayat koi puchhe
is darja hai kyon mujh pe inayat koi puchhe
Syed Mohammad Ahmad Naqvi
MORE BYSyed Mohammad Ahmad Naqvi
is darja hai kyoñ mujh pe ināyat koī pūchhe
kyā ab hai mire sar kī zarūrat koī pūchhe
kyā ho ga.ī aapas kī mohabbat koī pūchhe
kab luT ga.ī is shahr kī hurmat koī pūchhe
kyā sirf ḳhudā hī ko ḳhudā kahte haiñ ye log
kyoñ Dhaa.ī hai in logoñ pe aafat koī pūchhe
aivān-e-siyāsat ke jharokoñ se palaT kar
mujh se to mire des kī hālat koī pūchhe
ma.abūd ke bandoñ kī balī chaḌhtī hai din-rāt
kyā aise bhī hotī hai ibādat koī pūchhe
kab tak yahāñ ye misr kā bāzār lagegā
mujh se bhī to āḳhir mirī qīmat koī pūchhe
sahrā meñ koī dekhe mire sabr kī vus.at
dariyā se mirī pyaas kī shiddat koī pūchhe
jo sub.h ke taare kī tarah Duub rahā ho
kaash us se añdheroñ kī masāfat koī pūchhe
jab vaqt ko muTThī meñ jakaḌ hī nahīñ sakte
kyoñ karte hoñ lamhoñ kī hifāzat koī pūchhe
maġhrib meñ haiñ ḳhud haath haiñ mashriq kī kaloñ par
in nafs ke bandoñ se jasāmat koī pūchhe
har samt se hai sirf namak-pāshoñ kī yalġhār
mujh se mire zaḳhmoñ kī malāhat koī pūchhe
har chiiz dikhā dete haiñ ye āñkhoñ ke rauzan
kab chhuptī hai andar kī kudūrat koī pūchhe
jis peḌ ke saa.e meñ zamīñ rahtī hai ThanDī
us se kabhī sūraj kī tamāzat koī pūchhe
har shaḳhs hī bīmār hai is shahr meñ 'naqvī'
kis kis se bhalā us kī tabī.at koī pūchhe
is darja hai kyon mujh pe inayat koi puchhe
kya ab hai mere sar ki zarurat koi puchhe
kya ho gai aapas ki mohabbat koi puchhe
kab luT gai is shahr ki hurmat koi puchhe
kya sirf KHuda hi ko KHuda kahte hain ye log
kyon Dhai hai in logon pe aafat koi puchhe
aiwan-e-siyasat ke jharokon se palaT kar
mujh se to mere des ki haalat koi puchhe
mabud ke bandon ki bali chaDhti hai din-raat
kya aise bhi hoti hai ibaadat koi puchhe
kab tak yahan ye misr ka bazar lagega
mujh se bhi to aaKHir meri qimat koi puchhe
sahra mein koi dekhe mere sabr ki wusat
dariya se meri pyas ki shiddat koi puchhe
jo subh ke tare ki tarah Dub raha ho
kash us se andheron ki masafat koi puchhe
jab waqt ko muTThi mein jakaD hi nahin sakte
kyon karte hon lamhon ki hifazat koi puchhe
maghrib mein hain KHud hath hain mashriq ki kalon par
in nafs ke bandon se jasamat koi puchhe
har samt se hai sirf namak-pashon ki yalghaar
mujh se mere zaKHmon ki malahat koi puchhe
har chiz dikha dete hain ye aankhon ke rauzan
kab chhupti hai andar ki kudurat koi puchhe
jis peD ke sae mein zamin rahti hai ThanDi
us se kabhi suraj ki tamazat koi puchhe
har shaKHs hi bimar hai is shahr mein 'naqwi'
kis kis se bhala us ki tabiat koi puchhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.