is darja tere ishq mein andohgin hun main
is darja tere ishq meñ andohgīñ huuñ maiñ
dil se kahīñ ḳhayāl kahīñ aur kahīñ huuñ maiñ
is tarah kho gayā huuñ tajallī meñ aap kī
mahsūs ho rahā hai ki jaise nahīñ huuñ maiñ
bas ārzū-e-dīd kī takmīl chāhiye
aa jā.iye shikār-e-dam-e-vāpsīñ huuñ maiñ
maanā ġham-e-hayāt meñ hosh uḌ ga.e mire
phir bhī tumhārī yaad se ġhāfil nahīñ huuñ maiñ
kyoñ āstān-e-yār pe jhuk kar na uTh sakā
sajda-guzār huuñ ki sarāpā jabīñ huuñ maiñ
maiñ ne kahā ki maiñ huuñ mohabbat kā āftāb
us ne kahā ki husn kā māh-e-mubīñ huuñ maiñ
jo rāh-e-āshtī se haTā deñ 'muhib' mujhe
aise tasavvurāt kā qaa.il nahīñ huuñ maiñ
is darja tere ishq mein andohgin hun main
dil se kahin KHayal kahin aur kahin hun main
is tarah kho gaya hun tajalli mein aap ki
mahsus ho raha hai ki jaise nahin hun main
bas aarzu-e-did ki takmil chahiye
aa jaiye shikar-e-dam-e-wapsin hun main
mana gham-e-hayat mein hosh uD gae mere
phir bhi tumhaari yaad se ghafil nahin hun main
kyon aastan-e-yar pe jhuk kar na uTh saka
sajda-guzar hun ki sarapa jabin hun main
main ne kaha ki main hun mohabbat ka aaftab
us ne kaha ki husn ka mah-e-mubin hun main
jo rah-e-ashti se haTa den 'muhib' mujhe
aise tasawwuraat ka qail nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.