is daur-e-muflisi ka humne ilaj dekha
is daur-e-muflisī kā ham ne 'ilāj dekhā
saare suḳhanvaroñ ko āshiq-mizāj dekhā
mahtāb dekhtā thā maiñ ghar kī khiḌkiyoñ se
mahtāb ne darīche se mujh ko aaj dekhā
paT bhī sabhī khule haiñ darbān bhī nahīñ hai
is bazm kā alag hī rasm-o-rivāj dekhā
aaj āḳhirī dafa thā paanī se peT bharnā
bachchoñ ne aaj jā ke ghar meñ anaaj dekhā
sach kī Dagar pe jab bhī rakkhe qadam kisī ne
pahle to dekhī ġhurbat phir taḳht-o-tāj dekhā
is daur-e-muflisi ka hum ne 'ilaj dekha
sare suKHanwaron ko aashiq-mizaj dekha
mahtab dekhta tha main ghar ki khiDkiyon se
mahtab ne dariche se mujh ko aaj dekha
paT bhi sabhi khule hain darban bhi nahin hai
is bazm ka alag hi rasm-o-riwaj dekha
aaj aaKHiri dafa tha pani se peT bharna
bachchon ne aaj ja ke ghar mein anaj dekha
sach ki Dagar pe jab bhi rakkhe qadam kisi ne
pahle to dekhi ghurbat phir taKHt-o-taj dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.