is daur-e-zindagi mein maza hi kahan hai ab
is daur-e-zindagī meñ mazā hī kahāñ hai ab
tum kyā ga.e ki saarā jahāñ bad-gumāñ hai ab
vo ḳhauf hai ki shaam se darvāze band haiñ
sarkār kah rahī hai ki amn-o-amāñ hai ab
aa tū bhī dekh le ki kahānī tamām ho
terā marīz-e-'ishq bahut nā-tavāñ hai ab
chāhat kā 'umr se koī rishta nahīñ janāb
būḌhā hī kab huā thā agar dil javāñ hai ab
gulshan sajāne vaale to tārāj ho ga.e
jis ne chaman ujāḌā vahī bāġhbāñ hai ab
saare jahāñ meñ thā mirī rusvā.ī kā sabab
kyā lutf hai ki merā vahī rāz-dāñ hai ab
gautam kī sarzamīn ye hindostāñ 'azīm
jannat-maqām thā kabhī sho'la-fishāñ hai ab
chāhā thā us ne mujh ko kabhī TuuT kar 'kashish'
guzre hue zamāne kī jo dāstāñ hai ab
is daur-e-zindagi mein maza hi kahan hai ab
tum kya gae ki sara jahan bad-guman hai ab
wo KHauf hai ki sham se darwaze band hain
sarkar kah rahi hai ki amn-o-aman hai ab
aa tu bhi dekh le ki kahani tamam ho
tera mariz-e-'ishq bahut na-tawan hai ab
chahat ka 'umr se koi rishta nahin janab
buDha hi kab hua tha agar dil jawan hai ab
gulshan sajaane wale to taraj ho gae
jis ne chaman ujaDa wahi baghban hai ab
sare jahan mein tha meri ruswai ka sabab
kya lutf hai ki mera wahi raaz-dan hai ab
gautam ki sarzamin ye hindostan 'azim
jannat-maqam tha kabhi sho'la-fishan hai ab
chaha tha us ne mujh ko kabhi TuT kar 'kashish'
guzre hue zamane ki jo dastan hai ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.