is daur se KHulus mohabbat wafa na mang
is daur se ḳhulūs mohabbat vafā na maañg
sahrā se koī saaya koī aasrā na maañg
pattoñ ke qahqahoñ meñ sadā-e-bukā na DhūñD
jañgal meñ rah ke shahr kī āb-o-havā na maañg
samjhauta kar ke vaqt se chup-chāp baiTh jā
qātil se zindagī ke abhī ḳhūñ-bahā na maañg
apne ḳhudā se silsila-e-guftugū na toḌ
ho jaa.e jo qubūl to aisī duā na maañg
jā apnī laash ko kahīñ jañgal meñ pheñk aa
is shahr ke amiir se dād-e-vafā na maañg
'ḳhusrav' safīr-e-vaqt se ġham kā mizāj pūchh
maazī kī azmatoñ kā ḳhushī kā pata na maañg
is daur se KHulus mohabbat wafa na mang
sahra se koi saya koi aasra na mang
patton ke qahqahon mein sada-e-buka na DhunD
jangal mein rah ke shahr ki aab-o-hawa na mang
samjhauta kar ke waqt se chup-chap baiTh ja
qatil se zindagi ke abhi KHun-baha na mang
apne KHuda se silsila-e-guftugu na toD
ho jae jo qubul to aisi dua na mang
ja apni lash ko kahin jangal mein phenk aa
is shahr ke amir se dad-e-wafa na mang
'KHusraw' safir-e-waqt se gham ka mizaj puchh
mazi ki azmaton ka KHushi ka pata na mang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.