is daur se najat nahin chahiye hamein
is daur se najāt nahīñ chāhiye hameñ
ai 'ishq kā.enāt nahīñ chāhiye hameñ
pahlū meñ koī baiTh gayā hai kuchh is tarah
goyā kisī kā saath nahīñ chāhiye hameñ
be-rangī-e-'ajīb kī sarshāriyoñ meñ haiñ
sad-rangī-e-hayāt nahīñ chāhiye hameñ
itnā hasīñ hai parda-e-sāda pe naqsh-e-'aks
kuchh naqsha-e-sabāt nahīñ chāhiye hameñ
ab ruuh ke sivā nahīñ baaqī badan meñ kuchh
ab koī vārdāt nahīñ chāhiye hameñ
is daur se najat nahin chahiye hamein
ai 'ishq kaenat nahin chahiye hamein
pahlu mein koi baiTh gaya hai kuchh is tarah
goya kisi ka sath nahin chahiye hamein
be-rangi-e-'ajib ki sarshaariyon mein hain
sad-rangi-e-hayat nahin chahiye hamein
itna hasin hai parda-e-sada pe naqsh-e-'aks
kuchh naqsha-e-sabaat nahin chahiye hamein
ab ruh ke siwa nahin baqi badan mein kuchh
ab koi wardat nahin chahiye hamein
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 73)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.