is dhamak se tu agar panw rakhega mujh mein
is dhamak se tū agar paañv rakhegā mujh meñ
phir koī chashma nayā phuuT bahegā mujh meñ
kyoñ na kuchh shor uThā.ūñ ki vo ḳhāmosh-mizāj
be-irāda hī sahī dhyān to degā mujh meñ
ghar meñ chalte hue Dartā huuñ ki koī saaya
aa ke Takrā.egā aur aa hī basegā mujh meñ
is qadar tang hai dil apnī pareshānī se
sair achchhī hai magar kaun rahegā mujh meñ
vaqt jhāḌegā na.e hijr ke mausam kā shajar
aur ik lamha koī aan giregā mujh meñ
mere nāzuk mirī miTTī pe bahut raqs na kar
dhyān kī rut hai koī phuul khilegā mujh meñ
is dhamak se tu agar panw rakhega mujh mein
phir koi chashma naya phuT bahega mujh mein
kyon na kuchh shor uThaun ki wo KHamosh-mizaj
be-irada hi sahi dhyan to dega mujh mein
ghar mein chalte hue Darta hun ki koi saya
aa ke Takraega aur aa hi basega mujh mein
is qadar tang hai dil apni pareshani se
sair achchhi hai magar kaun rahega mujh mein
waqt jhaDega nae hijr ke mausam ka shajar
aur ek lamha koi aan girega mujh mein
mere nazuk meri miTTi pe bahut raqs na kar
dhyan ki rut hai koi phul khilega mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.