is dil mein tere gham ne ab ghar bana liya hai
is dil meñ tere ġham ne ab ghar banā liyā hai
ujḌe hue chaman ko phir se basā liyā hai
ruktī nahīñ haiñ aa.heñ thamte nahīñ haiñ aañsū
ik rog ham ne apne dil ko lagā liyā hai
vo chhin ga.e haiñ ham se ġham un kā chhin na jaa.e
duniyā se ham ne un ke ġham ko chhupā liyā hai
ab maut hī karegī aa kar 'ilāj apnā
is zindagī ko ham ne bas aazmā liyā hai
is dil mein tere gham ne ab ghar bana liya hai
ujDe hue chaman ko phir se basa liya hai
rukti nahin hain aahen thamte nahin hain aansu
ek rog hum ne apne dil ko laga liya hai
wo chhin gae hain hum se gham un ka chhin na jae
duniya se hum ne un ke gham ko chhupa liya hai
ab maut hi karegi aa kar 'ilaj apna
is zindagi ko hum ne bas aazma liya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.