is dil se teri yaad ke haale nahin gae
is dil se terī yaad ke haale nahīñ ga.e
tū jā chukā hai tere ujāle nahīñ ga.e
barsoñ se eḌiyāñ hī ragaḌte rahe haiñ ḳhvāb
tab hī to merī aañkh se chhāle nahīñ ga.e
sau baar chhāñTne kā jatan kar chukā huuñ maiñ
kuchh log zindagī se nikāle nahīñ ga.e
sūraj kī raushnī se bahut baar dho chukā
maulā jo man ke daaġh haiñ kaale nahīñ ga.e
martī hī jā.egī ye basārat mire 'nadīm'
āñkhoñ meñ diid ke jo nivāle nahīñ ga.e
is dil se teri yaad ke haale nahin gae
tu ja chuka hai tere ujale nahin gae
barson se eDiyan hi ragaDte rahe hain KHwab
tab hi to meri aankh se chhaale nahin gae
sau bar chhanTne ka jatan kar chuka hun main
kuchh log zindagi se nikale nahin gae
suraj ki raushni se bahut bar dho chuka
maula jo man ke dagh hain kale nahin gae
marti hi jaegi ye basarat mere 'nadim'
aankhon mein did ke jo niwale nahin gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.