is ek baat pe mushkil mein jaan hai koi sune
is ek baat pe mushkil meñ jaañ hai koī sune
ki chup hai aur karāñ-tā-karāñ hai koī sune
sadā yahī hai ki tārāñ ke harf sunñe do
magar koī nahīñ suntā fuġhāñ hai koī sune
jo nazm bhī hai mohabbat kī nazm lagtī hai
ki jism-o-jāñ meñ mohabbat javāñ hai koī sune
chalā gayā hai magar us ke pairahan kī shamīm
ye kah rahī hai vo ab tak yahāñ hai koī sune
kamāl-e-sub.h ke badle hayāt mumkin hai
ye baat sher kī sūrat ayaañ hai koī sune
bahut baḌā bhī hai 'bedī' ye ret kā sahrā
safar isī liye ik imtihāñ hai koī sune
is ek baat pe mushkil mein jaan hai koi sune
ki chup hai aur karan-ta-karan hai koi sune
sada yahi hai ki taran ke harf sunne do
magar koi nahin sunta fughan hai koi sune
jo nazm bhi hai mohabbat ki nazm lagti hai
ki jism-o-jaan mein mohabbat jawan hai koi sune
chala gaya hai magar us ke pairahan ki shamim
ye kah rahi hai wo ab tak yahan hai koi sune
kamal-e-subh ke badle hayat mumkin hai
ye baat sher ki surat ayan hai koi sune
bahut baDa bhi hai 'bedi' ye ret ka sahra
safar isi liye ek imtihan hai koi sune
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 278)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.