is fikr-e-rozgar mein sab khap gaya dimagh
is fikr-e-rozgār meñ sab khap gayā dimāġh
ab shā'irī ko chāhiye ik dūsrā dimāġh
ab koī baat Thiik se rahtī nahīñ hai yaad
vo dil kahāñ chalā gayā aur kyā huā dimāġh
uTThā jo ye savāl ki sālis kise banā.eñ
maiñ ne kahā ki dil sahī us ne kahā dimāġh
thā dil to chiiz kyā saf-e-mizhgāñ ke sāmne
is mā'rke meñ shukr ye hai bach gayā dimāġh
'bāsir' ye aadmī bhī hai kitnī 'ajīb chiiz
itne se us ke sar meñ hai kitnā baḌā dimāġh
is fikr-e-rozgar mein sab khap gaya dimagh
ab sha'iri ko chahiye ek dusra dimagh
ab koi baat Thik se rahti nahin hai yaad
wo dil kahan chala gaya aur kya hua dimagh
uTTha jo ye sawal ki salis kise banaen
main ne kaha ki dil sahi us ne kaha dimagh
tha dil to chiz kya saf-e-mizhgan ke samne
is ma'rke mein shukr ye hai bach gaya dimagh
'basir' ye aadmi bhi hai kitni 'ajib chiz
itne se us ke sar mein hai kitna baDa dimagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.