is ghaTa-Top andhere ka saman kya kahiye
is ghaTā-Top añdhere kā samāñ kyā kahiye
husn-e-tadbīr hai aise meñ kahāñ kyā kahiye
kuchh jo kahte haiñ to kaTtī hai zabāñ kyā kahiye
sarguzasht apnī sar-e-nok-e-sināñ kyā kahiye
rabt-e-bāham meñ bhī taskīn-e-dil-e-zār kahāñ
kis kashākash meñ hai ye umr-e-ravāñ kyā kahiye
mas.ale dil ke sulajhte nahīñ suljhāne se
ho agar hotā hai ehsās-e-ziyāñ kyā kahiye
but-kade vāloñ ne asnām tarāshe kyā kyā
mutma.in phir bhī nahīñ qalb-e-tapāñ kyā kahiye
jin se duniyā ko tavaqqo thī jahāñbānī kī
māñgte phirte haiñ vo izn-e-azāñ kyā kahiye
iḳhtiyārāt kisī aur to kyā ḳhud pe nahīñ
mauj-e-ḳhūñ bhī hai jahān-e-digrāñ kyā kahiye
sher-goī kī sanad lījiye kis se 'hāmid'
ham haiñ aur majma.a-e-sad-be-hunrāñ kyā kahiye
is ghaTa-Top andhere ka saman kya kahiye
husn-e-tadbir hai aise mein kahan kya kahiye
kuchh jo kahte hain to kaTti hai zaban kya kahiye
sarguzasht apni sar-e-nok-e-sinan kya kahiye
rabt-e-baham mein bhi taskin-e-dil-e-zar kahan
kis kashakash mein hai ye umr-e-rawan kya kahiye
masale dil ke sulajhte nahin suljhane se
ho agar hota hai ehsas-e-ziyan kya kahiye
but-kade walon ne asnam tarashe kya kya
mutmain phir bhi nahin qalb-e-tapan kya kahiye
jin se duniya ko tawaqqo thi jahanbani ki
mangte phirte hain wo izn-e-azan kya kahiye
iKHtiyaraat kisi aur to kya KHud pe nahin
mauj-e-KHun bhi hai jahan-e-digran kya kahiye
sher-goi ki sanad lijiye kis se 'hamid'
hum hain aur majma-e-sad-be-hunran kya kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.