is hujum-e-be-aman mein koi apna bhi to ho
is hujūm-e-be-amāñ meñ koī apnā bhī to ho
maiñ gale kis ko lagā.ūñ koī zinda bhī to ho
barg-e-āvāra havā nā-āshnā be-mehr phuul
aate jaate mausamoñ meñ koī Thahrā bhī to ho
sab gharoñ meñ lazzat-e-āsūdgī hai ḳhema-zan
maiñ sadā kyā duuñ yahāñ par koī suntā bhī to ho
phir se shāḳh-e-dār par khilne lageñ laale ke phuul
phir se duniyā jaag uTThe koī aisā bhī to ho
TuuT jaatā aap hī be-dard sannāTe kā zor
ḳhauf se bāhar nikal kar koī bolā bhī to ho
maiñ ne us ko dil-navāz-o-ḳhush-adā kyā kyā kahā
merī is zinda-dilī ko koī samjhā bhī to ho
maiñ bhī kah detā ye mere ḳhvāb kī ta.abīr hai
terī ta.abīroñ meñ merā ḳhvāb bolā bhī to ho
is hujum-e-be-aman mein koi apna bhi to ho
main gale kis ko lagaun koi zinda bhi to ho
barg-e-awara hawa na-ashna be-mehr phul
aate jate mausamon mein koi Thahra bhi to ho
sab gharon mein lazzat-e-asudgi hai KHema-zan
main sada kya dun yahan par koi sunta bhi to ho
phir se shaKH-e-dar par khilne lagen lale ke phul
phir se duniya jag uTThe koi aisa bhi to ho
TuT jata aap hi be-dard sannaTe ka zor
KHauf se bahar nikal kar koi bola bhi to ho
main ne us ko dil-nawaz-o-KHush-ada kya kya kaha
meri is zinda-dili ko koi samjha bhi to ho
main bhi kah deta ye mere KHwab ki tabir hai
teri tabiron mein mera KHwab bola bhi to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.