is imtihan mein bhi pura utar gaya har shaKHs
is imtihāñ meñ bhī puurā utar gayā har shaḳhs
ḳhud apne ḳhuuñ meñ nahā kar nikhar gayā har shaḳhs
na jaane kaun sī aahaT pe Dar gayā har shaḳhs
ye kyā huā ki achānak bikhar gayā har shaḳhs
fasurda shaam meñ yuuñ reñgte haiñ sannāTe
ki jaise maut se pahle hī mar gayā har shaḳhs
añdherī raat meñ anjān siskiyoñ kī sadā
jo aa.ī kānoñ meñ yak-laḳht Dar gayā har shaḳhs
dikhā.ī detā nahīñ duur duur tak koī
maiñ kis se pūchhūñ ki āḳhir kidhar gayā har shaḳhs
mire ḳhayāl meñ 'parvez' ye bhī Thiik huā
ḳhud apnī zaat kī tah meñ utar gayā har shaḳhs
is imtihan mein bhi pura utar gaya har shaKHs
KHud apne KHun mein naha kar nikhar gaya har shaKHs
na jaane kaun si aahaT pe Dar gaya har shaKHs
ye kya hua ki achanak bikhar gaya har shaKHs
fasurda sham mein yun rengte hain sannaTe
ki jaise maut se pahle hi mar gaya har shaKHs
andheri raat mein anjaan siskiyon ki sada
jo aai kanon mein yak-laKHt Dar gaya har shaKHs
dikhai deta nahin dur dur tak koi
main kis se puchhun ki aaKHir kidhar gaya har shaKHs
mere KHayal mein 'parwez' ye bhi Thik hua
KHud apni zat ki tah mein utar gaya har shaKHs
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.