is imtihan mein tha kabhi us imtihan mein tha
is imtihāñ meñ thā kabhī us imtihāñ meñ thā
maiñ thā zamīñ pe rizq mirā āsmāñ meñ thā
hālāñki koī madd-e-muqābil na thā vahāñ
ik valvala 'ajīb dil-e-nā-tavāñ meñ thā
urdu se merā 'ishq laḌakpan se thā 'ayāñ
maiñ ne jo pahlā ḳhat likhā urdu zabāñ meñ thā
dil yūñhī kah rahā thā vo aa.egā lauT ke
ik silsila yaqīn bhī vahm-o-gumāñ meñ thā
tum ne tajāvuzāt samajh ke girā diyā
ḳhvāboñ kā ik jahān nihāñ us makāñ meñ thā
aḳhlāqiyāt bhuul ga.e the vahāñ ke log
har aadmī paḌā huā sūd-o-ziyāñ meñ thā
sāñseñ rukī huī thiiñ vahāñ sāma'īn kī
sar chaḌh ke boltā thā vo jaadū bayāñ meñ thā
is imtihan mein tha kabhi us imtihan mein tha
main tha zamin pe rizq mera aasman mein tha
haalanki koi madd-e-muqabil na tha wahan
ek walwala 'ajib dil-e-na-tawan mein tha
urdu se mera 'ishq laDakpan se tha 'ayan
main ne jo pahla KHat likha urdu zaban mein tha
dil yunhi kah raha tha wo aaega lauT ke
ek silsila yaqin bhi wahm-o-guman mein tha
tum ne tajawuzat samajh ke gira diya
KHwabon ka ek jahan nihan us makan mein tha
aKHlaqiyat bhul gae the wahan ke log
har aadmi paDa hua sud-o-ziyan mein tha
sansen ruki hui thin wahan sama'in ki
sar chaDh ke bolta tha wo jadu bayan mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.