is jagah ki KHas ek pahchan hai
is jagah kī ḳhaas ik pahchān hai
log haiñ behis butoñ meñ jaan hai
hai bahut anjān galiyoñ se saḌak
sīḌhiyoñ se ghar har ik anjān hai
sub.h meñ haiñ surḳhiyāñ aḳhbār kī
shahr ye ik band raushan-dān hai
aadmī ko dekhnā nazdīk se
bhiiḌ meñ sab se baḌā sunsān hai
pyaar ko āsān hai kyā bhūlnā
raah meñ chhūTā huā sāmān hai
aaj phir ghar par hī chhātā rah gayā
aaj phir barsāt kā imkān hai
dost dushman aa ke sukh-dukh bāñTte
dil bahut din se huā dālān hai
phir machhere naav le kar chal paḌe
peT se baḌh kar kahāñ tūfān hai
zindagī ko jab jiyā tab ye lagā
shā'irī karnā bahut āsān hai
paḌhnā sunñā ġhaur se 'animesh' ko
us kā har ik she'r ik dīvān hai
is jagah ki KHas ek pahchan hai
log hain behis buton mein jaan hai
hai bahut anjaan galiyon se saDak
siDhiyon se ghar har ek anjaan hai
subh mein hain surKHiyan aKHbar ki
shahr ye ek band raushan-dan hai
aadmi ko dekhna nazdik se
bhiD mein sab se baDa sunsan hai
pyar ko aasan hai kya bhulna
rah mein chhuTa hua saman hai
aaj phir ghar par hi chhata rah gaya
aaj phir barsat ka imkan hai
dost dushman aa ke sukh-dukh banTte
dil bahut din se hua dalan hai
phir machhere naw le kar chal paDe
peT se baDh kar kahan tufan hai
zindagi ko jab jiya tab ye laga
sha'iri karna bahut aasan hai
paDhna sunna ghaur se 'animesh' ko
us ka har ek she'r ek diwan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.