is jagmagate shahr mein saDkon ki raushni
is jagmagāte shahr meñ saḌkoñ kī raushnī
kuchh duur to zarūr mirī ham-safar rahī
kāġhaz ke chand purzoñ meñ ġhairat bhī bech dī
majbūr kar rahī thī bahut us ko muflisī
bāhar nagar ke DhūñDhtī phirtī thī shaam se
vo tīrgī hayāt ke sāñche meñ Dhal ga.ī
muddat ke baa'd aa.ina dekhā thā bhuul se
apnī hī shakl aaj mujhe ajnabī lagī
merī vafāoñ se to shikāyat hai aap ko
apne sulūk par bhī nazar kījiye kabhī
is jagmagate shahr mein saDkon ki raushni
kuchh dur to zarur meri ham-safar rahi
kaghaz ke chand purzon mein ghairat bhi bech di
majbur kar rahi thi bahut us ko muflisi
bahar nagar ke DhunDhti phirti thi sham se
wo tirgi hayat ke sanche mein Dhal gai
muddat ke ba'd aaina dekha tha bhul se
apni hi shakl aaj mujhe ajnabi lagi
meri wafaon se to shikayat hai aap ko
apne suluk par bhi nazar kijiye kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.