is jahan-e-KHarab se nikle
is jahān-e-ḳharāb se nikle
zindagī ke 'azāb se nikle
jo samundar dikhā.ī dete the
vo manāzir sarāb se nikle
dard nikle na jo davāoñ se
vo zarā sī sharāb se nikle
yuuñ nikalte haiñ lafz hoñToñ se
jaise ḳhushbū gulāb se nikle
raaz kuchh tajraboñ ne khol diye
chand nukte kitāb se nikle
ho agar 'azm aage baḌhne kā
rāsta ḳhud hī aab se nikle
she'r 'afzal' isī ko kahte haiñ
jab suḳhan iztirāb se nikle
is jahan-e-KHarab se nikle
zindagi ke 'azab se nikle
jo samundar dikhai dete the
wo manazir sarab se nikle
dard nikle na jo dawaon se
wo zara si sharab se nikle
yun nikalte hain lafz honTon se
jaise KHushbu gulab se nikle
raaz kuchh tajrabon ne khol diye
chand nukte kitab se nikle
ho agar 'azm aage baDhne ka
rasta KHud hi aab se nikle
she'r 'afzal' isi ko kahte hain
jab suKHan iztirab se nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.