is jahan mein koi mera na hua
is jahāñ meñ koī mirā na huā
ho ga.e sab ḳhafā ḳhudā na huā
vo haqīqat-pasand haiñ lekin
us kā va.ada kabhī vafā na huā
mujh pe hañstī hai dhuup kī vaadī
sar chhupāne kā aasrā na huā
kyā koī baat hai pas-e-parda
haq adā kar ke bhī adā na huā
merī nazreñ Tikī haiñ fardā par
haal jo bhī huā burā na huā
maiñ muḳhālif huuñ fikr-mandī kā
koī apnā huā huā na huā
ye riyā-kār daur hai 'nāzim'
maiñ numā.ish ko pārsā na huā
is jahan mein koi mera na hua
ho gae sab KHafa KHuda na hua
wo haqiqat-pasand hain lekin
us ka wada kabhi wafa na hua
mujh pe hansti hai dhup ki wadi
sar chhupane ka aasra na hua
kya koi baat hai pas-e-parda
haq ada kar ke bhi ada na hua
meri nazren Tiki hain farda par
haal jo bhi hua bura na hua
main muKHalif hun fikr-mandi ka
koi apna hua hua na hua
ye riya-kar daur hai 'nazim'
main numaish ko parsa na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.