is jahan pe haal-e-dil aashkar karna hai
is jahāñ pe hāl-e-dil āshkār karnā hai
aaj ek hāsid ko rāzdār karnā hai
karne haiñ gile us se ranjisheñ bhī rakhnī haiñ
pyaar bhī sitamgar ko be-shumār karnā hai
mausam-e-yaqīñ meñ jo bad-gumān rahtā hai
us se pyaar kā rishta ustuvār karnā hai
jaane vaale āḳhir ko lauT kar bhī aate haiñ
ham ne hashr tak us kā intizār karnā hai
sāmne raho mere yā nigāh se ojhal
shām-e-ġham tujhe maiñ ne ashk-bār karnā hai
asl meñ mohabbat kī sūrateñ yahī do haiñ
be-qarār honā hai be-qarār karnā hai
is jahan pe haal-e-dil aashkar karna hai
aaj ek hasid ko raazdar karna hai
karne hain gile us se ranjishen bhi rakhni hain
pyar bhi sitamgar ko be-shumar karna hai
mausam-e-yaqin mein jo bad-guman rahta hai
us se pyar ka rishta ustuwar karna hai
jaane wale aaKHir ko lauT kar bhi aate hain
hum ne hashr tak us ka intizar karna hai
samne raho mere ya nigah se ojhal
sham-e-gham tujhe main ne ashk-bar karna hai
asl mein mohabbat ki suraten yahi do hain
be-qarar hona hai be-qarar karna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.