is jaur-o-jafa ki duniya mein yun dad-e-wafa di jati hai
is jaur-o-jafā kī duniyā meñ yuuñ dād-e-vafā dī jaatī hai
ma.asūm ko phāñsī miltī hai qātil ko duā dī jaatī hai
kis tarah bhalā qaa.em hogī aise meñ fazā yak-jehtī kī
nafrat ke bhaḌakte sho.aloñ ko dāman se havā dī jaatī hai
duniyā se nirālā ai gulchīñ insāf hai tere gulshan kā
dāman se ulajhte haiñ kāñTe phūloñ ko sazā dī jaatī hai
jo kaam ḳhilāf-e-fitrat ho us kaam meñ istihkām nahīñ
kahne ko to kāġhaz kī kashtī paanī meñ chalā dī jaatī hai
pairāhan-e-kam-ḳhāb-o-resham ik bār-e-garāñ hai jin ke liye
in phuul se nāzuk jismoñ ko zaḳhmoñ kī qabā dī jaatī hai
adbār-o-nahūsat kā bādal us vaqt barastā hai ghar ghar
pākīza rivāyat maazī kī jab dil se bhulā dī jaatī hai
ab haq ke alam-bardāroñ par hai nafs-parastī kā ġhalba
is daur-e-zubūñ meñ har sachchī āvāz dabā dī jaatī hai
jab dāman-e-dil ho jaatā hai ehsās kī daulat se ḳhālī
rusvā.ī-o-zillat qaumoñ kī taqdīr banā dī jaatī hai
aḳhlāq-o-uḳhuvvat kī bāteñ haiñ sab kī zabānoñ par lekin
mansab kī havas meñ aapas kī tafrīq baḌhā dī jaatī hai
aalam hai vo kibr-o-naḳhvat kā jhukte nahīñ rūh-o-dil apne
darbār-e-ḳhudā meñ ai 'nāsir' gardan to jhukā dī jaatī hai
is jaur-o-jafa ki duniya mein yun dad-e-wafa di jati hai
masum ko phansi milti hai qatil ko dua di jati hai
kis tarah bhala qaem hogi aise mein faza yak-jehti ki
nafrat ke bhaDakte shoalon ko daman se hawa di jati hai
duniya se nirala ai gulchin insaf hai tere gulshan ka
daman se ulajhte hain kanTe phulon ko saza di jati hai
jo kaam KHilaf-e-fitrat ho us kaam mein istihkaam nahin
kahne ko to kaghaz ki kashti pani mein chala di jati hai
pairahan-e-kam-KHab-o-resham ek bar-e-garan hai jin ke liye
in phul se nazuk jismon ko zaKHmon ki qaba di jati hai
adbar-o-nahusat ka baadal us waqt barasta hai ghar ghar
pakiza riwayat mazi ki jab dil se bhula di jati hai
ab haq ke alam-bardaron par hai nafs-parasti ka ghalba
is daur-e-zubun mein har sachchi aawaz daba di jati hai
jab daman-e-dil ho jata hai ehsas ki daulat se KHali
ruswai-o-zillat qaumon ki taqdir bana di jati hai
aKHlaq-o-uKHuwwat ki baaten hain sab ki zabanon par lekin
mansab ki hawas mein aapas ki tafriq baDha di jati hai
aalam hai wo kibr-o-naKHwat ka jhukte nahin ruh-o-dil apne
darbar-e-KHuda mein ai 'nasir' gardan to jhuka di jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.