is ka ehsas nahin waqt ke tewar badle
is kā ehsās nahīñ vaqt ke tevar badle
ranj to ye hai ki din-rāt ke manzar badle
merā maslak nazar-andāz kiye jaane par
kis ke din phir ga.e kis kis ke muqaddar badle
merī mastāna-ravī phir bhī mayassar na huī
yaar logoñ ne ka.ī shīsha-o-sāġhar badle
na banā par na banā merā sā paikar na banā
but-tarāshoñ ne ka.ī qism ke patthar badle
tum 'ziyā' shūmī-e-taqdīr ko rote kyoñ ho
inqalāb aa.e na taqdīr kā chakkar badle
is ka ehsas nahin waqt ke tewar badle
ranj to ye hai ki din-raat ke manzar badle
mera maslak nazar-andaz kiye jaane par
kis ke din phir gae kis kis ke muqaddar badle
meri mastana-rawi phir bhi mayassar na hui
yar logon ne kai shisha-o-saghar badle
na bana par na bana mera sa paikar na bana
but-tarashon ne kai qism ke patthar badle
tum 'ziya' shumi-e-taqdir ko rote kyon ho
inqalab aae na taqdir ka chakkar badle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.