is ka gham hai ki mujhe wahm hua hai shayad
is kā ġham hai ki mujhe vahm huā hai shāyad
koī pahlū meñ mire jaag rahā hai shāyad
jāgte jāgte pichhlī ka.ī rāteñ guzrī
chāñd honā mirī qismat meñ likhā hai shāyad
dauḌ jā.ūñ har ik aahaT pe kivāḌoñ kī taraf
aur phir ḳhud ko hī samjhā.ūñ havā hai shāyad
us kī bātoñ se vo ab phuul nahīñ jhaḌte haiñ
us ke hoñToñ pe abhī merā gila hai shāyad
us ko kholūñ to rag-e-dil ko koī Dastā hai
yaad kī gaThrī meñ ik saañp chhupā hai shāyad
mujh ko har raah ujāloñ se bharī miltī hai
ye un āñkhoñ ke charāġhoñ kī duā hai shāyad
is ka gham hai ki mujhe wahm hua hai shayad
koi pahlu mein mere jag raha hai shayad
jagte jagte pichhli kai raaten guzri
chand hona meri qismat mein likha hai shayad
dauD jaun har ek aahaT pe kiwaDon ki taraf
aur phir KHud ko hi samjhaun hawa hai shayad
us ki baaton se wo ab phul nahin jhaDte hain
us ke honTon pe abhi mera gila hai shayad
us ko kholun to rag-e-dil ko koi Dasta hai
yaad ki gaThri mein ek sanp chhupa hai shayad
mujh ko har rah ujalon se bhari milti hai
ye un aankhon ke charaghon ki dua hai shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.