is kar-e-mohabbat ka bas itna hunar jaana
is kār-e-mohabbat kā bas itnā hunar jaanā
ik baḳhiya udhaḌ jaanā ik zaḳhm kā bhar jaanā
ehsās-e-rifāqat to bas is ke sivā kyā hai
lamhoñ kā Thahar jaanā sadiyoñ kā guzar jaanā
ik ḳhvāb ko nīñdoñ ke saa.e se pare rakhnā
ik yaad kā chupke se siine meñ utar jaanā
kahte haiñ shikast us ko dariyā meñ talātum kī
biphrī huī lahroñ kā sāhil pe bikhar jaanā
chehre pe udāsī kā jo naqsh numāyāñ thā
pahchān liyā maiñ ne tum ne na magar jaanā
sūkhe hue pattoñ ne saath us kā nahīñ chhoḌā
jis peḌ ko logoñ ne be-barg-o-samar jaanā
ai ishq tirī ham par ye kaisī ināyat hai
jī uThnā kabhī ġham se uTh kar kabhī mar jaanā
kaisā hai tirā 'kāzim' dastūr ye ulfat kā
yā pyaar nahīñ karnā yā had se guzar jaanā
is kar-e-mohabbat ka bas itna hunar jaana
ek baKHiya udhaD jaana ek zaKHm ka bhar jaana
ehsas-e-rifaqat to bas is ke siwa kya hai
lamhon ka Thahar jaana sadiyon ka guzar jaana
ek KHwab ko nindon ke sae se pare rakhna
ek yaad ka chupke se sine mein utar jaana
kahte hain shikast us ko dariya mein talatum ki
biphri hui lahron ka sahil pe bikhar jaana
chehre pe udasi ka jo naqsh numayan tha
pahchan liya main ne tum ne na magar jaana
sukhe hue patton ne sath us ka nahin chhoDa
jis peD ko logon ne be-barg-o-samar jaana
ai ishq teri hum par ye kaisi inayat hai
ji uThna kabhi gham se uTh kar kabhi mar jaana
kaisa hai tera 'kazim' dastur ye ulfat ka
ya pyar nahin karna ya had se guzar jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.