is kam-sini mein dekhiye aalam shabab ka
is kam-sinī meñ dekhiye aalam shabāb kā
jaise chaman meñ phuul khilā ho gulāb kā
mujh par sharāb-noshī kā ilzām mat lagā
dekhā hai terī āñkhoñ meñ dariyā sharāb kā
baiThā huuñ us ke sāmne phir bhī hai tishnagī
haa.il hai darmiyān meñ parda hijāb kā
tum mere saath saath ho aatā nahīñ yaqīñ
mahsūs mujh ko hotā hai manzar ye ḳhvāb kā
do āshiqoñ ko Duube zamāna guzar gayā
utrā huā hai aaj bhī chehra chanāb kā
is ke sivā kisī ko bhī pahchāntā nahīñ
ye haal ho gayā dil-e-ḳhāna-ḳharāb kā
tum ġham atā karo ki ḳhushī sab qubūl hai
muddat se muntazir huuñ tumhāre javāb kā
is kam-sini mein dekhiye aalam shabab ka
jaise chaman mein phul khila ho gulab ka
mujh par sharab-noshi ka ilzam mat laga
dekha hai teri aankhon mein dariya sharab ka
baiTha hun us ke samne phir bhi hai tishnagi
hail hai darmiyan mein parda hijab ka
tum mere sath sath ho aata nahin yaqin
mahsus mujh ko hota hai manzar ye KHwab ka
do aashiqon ko Dube zamana guzar gaya
utra hua hai aaj bhi chehra chanab ka
is ke siwa kisi ko bhi pahchanta nahin
ye haal ho gaya dil-e-KHana-KHarab ka
tum gham ata karo ki KHushi sab qubul hai
muddat se muntazir hun tumhaare jawab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.