is Khaar-mizaji mein phulon ki tarah khilna
is ḳhār-mizājī meñ phūloñ kī tarah khilnā
sau baar gile karnā ik baar gale milnā
mānind-e-shajar ho tum ruktā hai ruke mausam
ḳhushbū ko havā de kar shāḳhoñ kī tarah hilnā
kūchoñ meñ gharoñ meñ ab ik shor sharāba hai
hotā nahīñ apnoñ se barsoñ meñ kabhī milnā
chehroñ ke muqaddar meñ kyuuñ jabr bhī shāmil hai
bas meñ nahīñ murjhānā qaabū meñ nahīñ khilnā
duurī jo mahaktī hai ik umr kā hāsil hai
ik zaḳhm hai nazdīkī khilnā na kabhī silnā
is KHar-mizaji mein phulon ki tarah khilna
sau bar gile karna ek bar gale milna
manind-e-shajar ho tum rukta hai ruke mausam
KHushbu ko hawa de kar shaKHon ki tarah hilna
kuchon mein gharon mein ab ek shor sharaba hai
hota nahin apnon se barson mein kabhi milna
chehron ke muqaddar mein kyun jabr bhi shamil hai
bas mein nahin murjhana qabu mein nahin khilna
duri jo mahakti hai ek umr ka hasil hai
ek zaKHm hai nazdiki khilna na kabhi silna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.