is KHarabe mein bura kaun hai achchha kya hai
is KHarabe mein bura kaun hai achchha kya hai
Manzoor-ul-Haq Nazir
MORE BYManzoor-ul-Haq Nazir
is ḳharābe meñ burā kaun hai achchhā kyā hai
mere bachcho abhī tum logoñ ne dekhā kyā hai
maiñ huuñ tahzīb ke māthe kī sunahrī tahrīr
ġhaur se dekho mire chehre pe likkhā kyā hai
hausla dil kā baḌhā aur javāñ rakh himmat
apnī mahrūmī-e-qismat pe sisaktā kyā hai
merā kirdār to sūraj kī tarah hai raushan
lab-e-nāzuk pe tire phir mirā shikva kyā hai
mujh se iz.hār-e-mohabbat kī huī gustāḳhī
ek mujrim ke liye aap ne sochā kyā hai
apne hī hāthoñ se aabā kī virāsat kho kar
aaj is hālat-e-nā-gufta pe rotā kyā hai
dekhtā hai mujhe chhup-chhup ke jo har dam 'nāzir'
mujh ko mā'lūm nahīñ vo mirā lagtā kyā hai
is KHarabe mein bura kaun hai achchha kya hai
mere bachcho abhi tum logon ne dekha kya hai
main hun tahzib ke mathe ki sunahri tahrir
ghaur se dekho mere chehre pe likkha kya hai
hausla dil ka baDha aur jawan rakh himmat
apni mahrumi-e-qismat pe sisakta kya hai
mera kirdar to suraj ki tarah hai raushan
lab-e-nazuk pe tere phir mera shikwa kya hai
mujh se izhaar-e-mohabbat ki hui gustaKHi
ek mujrim ke liye aap ne socha kya hai
apne hi hathon se aaba ki wirasat kho kar
aaj is haalat-e-na-gufta pe rota kya hai
dekhta hai mujhe chhup-chhup ke jo har dam 'nazir'
mujh ko ma'lum nahin wo mera lagta kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.