isko judai kaise kamalat kar gai
is kī judā.ī kaise kamālāt kar ga.ī
vo ḳhvāb ban ke mujh se mulāqāt kar ga.ī
dekhā use jo maiñ ne to kuchh bhī na sun sakā
kyā baat kar rahī thī vo kyā baat kar ga.ī
nādīda manziloñ ke liye rāstoñ kī dhuul
jab kahkashāñ banī to karāmāt kar ga.ī
rātoñ se chhīn kar vo charāġhoñ kī raushnī
jab sub.h ho ga.ī to use raat kar ga.ī
hadd-e-adab meñ yuuñ to mare sil ga.e the hoñT
ik ḳhāmushī bhī kitne savālāt kar ga.ī
phir is ke ba.ad merī samā.at hī kho ga.ī
kānoñ meñ mere jaane vo kyā baat kar ga.ī
āñkhoñ meñ kuchh namī to hamesha rahī hai 'shād'
āñkhoñ kī us namī ko vo barsāt kar ga.ī
is ki judai kaise kamalat kar gai
wo KHwab ban ke mujh se mulaqat kar gai
dekha use jo main ne to kuchh bhi na sun saka
kya baat kar rahi thi wo kya baat kar gai
nadida manzilon ke liye raston ki dhul
jab kahkashan bani to karamat kar gai
raaton se chhin kar wo charaghon ki raushni
jab subh ho gai to use raat kar gai
hadd-e-adab mein yun to mare sil gae the honT
ek KHamushi bhi kitne sawalat kar gai
phir is ke baad meri samaat hi kho gai
kanon mein mere jaane wo kya baat kar gai
aankhon mein kuchh nami to hamesha rahi hai 'shad'
aankhon ki us nami ko wo barsat kar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.