isko shikayat kaun karega dil ki wo haalat gar na rahi
isko shikayat kaun karega dil ki wo haalat gar na rahi
Mukhtar Siddiqui
MORE BYMukhtar Siddiqui
is kī shikāyat kaun karegā dil kī vo hālat gar na rahī
baare tere talavvun se yaksānī-e-shām-o-sahar na rahī
apnī tarah is vahshat-gāh meñ har unvān se rusvā hai
jab se fuġhān-e-nīm-shabī mamnūn-e-bāb-e-asar na rahī
ūñchī shāḳh kā phuul bhī kyā aur qurbat kī maḳhmūrī kyā
dūr-o-qarīb kī koī yaad bhī rāhat-e-dil ban kar na rahī
jiite rahe to Thānī hai ye naumīdāna ziist kareñ
aur koī tadbīr na thī jo ab tak pesh-e-nazar na rahī
kis birte par bāteñ banā.eñ ya.anī sher shi.ār kareñ
rang-e-zamāna dekh ke ham ko himmat-e-arz-e-hunar na rahī
is ki shikayat kaun karega dil ki wo haalat gar na rahi
bare tere talawwun se yaksani-e-sham-o-sahar na rahi
apni tarah is wahshat-gah mein har unwan se ruswa hai
jab se fughan-e-nim-shabi mamnun-e-bab-e-asar na rahi
unchi shaKH ka phul bhi kya aur qurbat ki maKHmuri kya
dur-o-qarib ki koi yaad bhi rahat-e-dil ban kar na rahi
jite rahe to Thani hai ye naumidana zist karen
aur koi tadbir na thi jo ab tak pesh-e-nazar na rahi
kis birte par baaten banaen yani sher shiar karen
rang-e-zamana dekh ke hum ko himmat-e-arz-e-hunar na rahi
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 197)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.