isko itna na munh laga ki ye gham teri hasti miTa bhi sakta hai
isko itna na munh laga ki ye gham teri hasti miTa bhi sakta hai
Zahid Abrol
MORE BYZahid Abrol
is ko itnā na muñh lagā ki ye ġham terī hastī miTā bhī saktā hai
pāltū sher bhuuk lagne par apne mālik ko khā bhī saktā hai
ye to vo dil-figār bāteñ thiiñ jin ko sun kar maiñ ro paḌā varna
sab ke aañsū sameTne vaalā apne aañsū chhupā bhī saktā hai
ab vo bachchoñ sī zid kahāñ mujh meñ zaḳhm-ḳhurda haiñ uñgliyāñ merī
achchhā mauqa hai ye ki tū mujh se apnā dāman chhuḌā bhī saktā hai
munhasir sab hai dil ke mausam par ġham ke sūraj kī to tapish hai vahī
sardiyoñ meñ sukūñ kā paiġhambar garmiyoñ meñ jalā bhī saktā hai
aadmī ko jakaḌ ke rakkhā hai us kī majbūriyoñ ne hī varna
aag par khaultā huā paanī aag kī lau bujhā bhī saktā hai
māddiyyat kā daur hai 'zāhid' paisa bas haath hī kī mail nahīñ
vaqt paḌ jaa.e to yahī fitna aadmī ko nachā bhī saktā hai
is ko itna na munh laga ki ye gham teri hasti miTa bhi sakta hai
paltu sher bhuk lagne par apne malik ko kha bhi sakta hai
ye to wo dil-figar baaten thin jin ko sun kar main ro paDa warna
sab ke aansu sameTne wala apne aansu chhupa bhi sakta hai
ab wo bachchon si zid kahan mujh mein zaKHm-KHurda hain ungliyan meri
achchha mauqa hai ye ki tu mujh se apna daman chhuDa bhi sakta hai
munhasir sab hai dil ke mausam par gham ke suraj ki to tapish hai wahi
sardiyon mein sukun ka paighambar garmiyon mein jala bhi sakta hai
aadmi ko jakaD ke rakkha hai us ki majburiyon ne hi warna
aag par khaulta hua pani aag ki lau bujha bhi sakta hai
maddiyyat ka daur hai 'zahid' paisa bas hath hi ki mail nahin
waqt paD jae to yahi fitna aadmi ko nacha bhi sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.