isko na rast kah tu na isko bata ghalat
is ko na raast kah tū na is ko batā ġhalat
kyā jaane kyā sahīh hai vāqe' meñ kyā ġhalat
dekhā hai maiñ rubā.ī-e-hastī ko ġhaur se
par lafz nā-durust haiñ had mudda'ā ġhalat
iz.hār-e-ishq Dol hī apnā nahīñ hai shoḳh
jin ne kahā ye tujh se hai mahz iftirā ġhalat
us mārpech kūche meñ kākul ke dil hai gum
jis meñ ki rāh-e-ḳhizr ne aksar kiyā ġhalat
'qā.em' na aish-e-naqd ko nisya pe chhoḌiye
kyā jaane baat qissa kī hai raast yā ġhalat
is ko na rast kah tu na is ko bata ghalat
kya jaane kya sahih hai waqe' mein kya ghalat
dekha hai main rubai-e-hasti ko ghaur se
par lafz na-durust hain had mudda'a ghalat
izhaar-e-ishq Dol hi apna nahin hai shoKH
jin ne kaha ye tujh se hai mahz iftira ghalat
us marpech kuche mein kakul ke dil hai gum
jis mein ki rah-e-KHizr ne aksar kiya ghalat
'qaem' na aish-e-naqd ko nisya pe chhoDiye
kya jaane baat qissa ki hai rast ya ghalat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.