is kumba-parwar duniya mein bekas ki himayat kaun kare
is kumba-parwar duniya mein bekas ki himayat kaun kare
Abul Fitrat Meer Zaidi
MORE BYAbul Fitrat Meer Zaidi
is kumba-parvar duniyā meñ bekas kī himāyat kaun kare
jab ġhāsib munsif ban jaa.eñ insāf kī zahmat kaun kare
jo farq samajhte haiñ ab tak hindī sindhī punjabi meñ
un 'aql ke puure logoñ se laḌne kī himāqat kaun kare
jo luT kar aa.e haiñ un ko sabr aate aate aa.egā
lekin is behis duniyā meñ ehsās-e-haqīqat kaun kare
kyā rahnā aisī bastī meñ har baat jahāñ kī ulTī ho
jab baaḌ hī khet kī dushman ho phir us kī hifāzat kaun kare
mā'lūm ye hotā hai ab tak yūsuf ke barādar zinda haiñ
jab apne dushman ho jaa.eñ ġhairoñ kī shikāyat kaun kare
in khāte-pīte logoñ se ye baat koī pūchhe jā kar
zardāroñ kī dā'vat tum ne kī nādār kī dā'vat kaun kare
mahloñ ke sunahrī pardoñ meñ har 'aib hunar ban jaatā hai
lekin in daulat-mandoñ ko jhuTlāne kī jur.at kaun kare
ham sab kuchh kar sakte haiñ magar ye soch ke phir rah jaate haiñ
tum laakh bure ho apne ho apnoñ se baġhāvat kaun kare
is kumba-parwar duniya mein bekas ki himayat kaun kare
jab ghasib munsif ban jaen insaf ki zahmat kaun kare
jo farq samajhte hain ab tak hindi sindhi punjabi mein
un 'aql ke pure logon se laDne ki himaqat kaun kare
jo luT kar aae hain un ko sabr aate aate aaega
lekin is behis duniya mein ehsas-e-haqiqat kaun kare
kya rahna aisi basti mein har baat jahan ki ulTi ho
jab baD hi khet ki dushman ho phir us ki hifazat kaun kare
ma'lum ye hota hai ab tak yusuf ke baradar zinda hain
jab apne dushman ho jaen ghairon ki shikayat kaun kare
in khate-pite logon se ye baat koi puchhe ja kar
zardaron ki da'wat tum ne ki nadar ki da'wat kaun kare
mahlon ke sunahri pardon mein har 'aib hunar ban jata hai
lekin in daulat-mandon ko jhuTlane ki jurat kaun kare
hum sab kuchh kar sakte hain magar ye soch ke phir rah jate hain
tum lakh bure ho apne ho apnon se baghawat kaun kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.