Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is lab se ras na chuse qadah aur qadah se hum

Baqaullah 'Baqa'

is lab se ras na chuse qadah aur qadah se hum

Baqaullah 'Baqa'

MORE BYBaqaullah 'Baqa'

    is lab se ras na chūse qadah aur qadah se ham

    to kyuuñ mile subū se qadah aur qadah se ham

    saaqī na hove paas kab jur.a-e-sharāb

    shīshe ke le gulū se qadah aur qadah se ham

    baaqī rahe na baada to us ke evaz meñ aab

    le ḳhum shust-o-shū se qadah aur qadah se ham

    gardish pe terī chashm bahse hai ham se yaar

    da.ave guftugū se qadah aur qadah se ham

    chashm apnī Tuk dikhā de use ki aave baaz

    is bahs-e-dū-ba-dū se qadah aur qadah se ham

    bosa tire dahan se ye hañgām-e-mai-kashī

    le hai kis aarzū se qadah aur qadah se ham

    paate haiñ mai-kade meñ 'baqā' ne.amat-e-sharāb

    ḳhum se sab subū subū se qadah aur qadah se ham

    is lab se ras na chuse qadah aur qadah se hum

    to kyun mile subu se qadah aur qadah se hum

    saqi na howe pas tu kab jura-e-sharab

    shishe ke le gulu se qadah aur qadah se hum

    baqi rahe na baada to us ke ewaz mein aab

    le KHum ki shust-o-shu se qadah aur qadah se hum

    gardish pe teri chashm ki bahse hai hum se yar

    dawe ki guftugu se qadah aur qadah se hum

    chashm apni Tuk dikha de use tu ki aawe baz

    is bahs-e-du-ba-du se qadah aur qadah se hum

    bosa tere dahan se ye hangam-e-mai-kashi

    le hai kis aarzu se qadah aur qadah se hum

    pate hain mai-kade mein 'baqa' neamat-e-sharab

    KHum se sab subu subu se qadah aur qadah se hum

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now