Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is latafat se nawa-pardaz hona chahiye

Mustafa Husain Nayyar

is latafat se nawa-pardaz hona chahiye

Mustafa Husain Nayyar

MORE BYMustafa Husain Nayyar

    is latāfat se navā-pardāz honā chāhiye

    soz ke parde meñ pinhāñ saaz honā chāhiye

    yuuñ taḳhayyul ko falak-parvāz honā chāhiye

    bāryāb-e-jalva-gāh-e-nāz honā chāhiye

    chhā rahā hai bazm-e-ālam par sukūt-e-nāravā

    ik ishāra ai nigāh-e-nāz honā chāhiye

    is tarah kahiye fasāna rabt-e-husn-o-ishq

    har-nafas sarmāya-dār-e-rāz honā chāhiye

    aaj aatā hai zabāñ par qissa-e-mehr-o-vafā

    ahl-e-dil ko gosh-bar-āvāz honā chāhiye

    husn-e-kāfir-sāz hai ġhārat-gar-e-duniyā-o-dīñ

    ishq-e-haq-āgāh ko dam-sāz honā chāhiye

    lā.eq-e-sad-nāz hai 'nayyar' niyāz-e-āshiqī

    apnī qismat par mujhe bhī naaz honā chāhiye

    is latafat se nawa-pardaz hona chahiye

    soz ke parde mein pinhan saz hona chahiye

    yun taKHayyul ko falak-parwaz hona chahiye

    baryab-e-jalwa-gah-e-naz hona chahiye

    chha raha hai bazm-e-alam par sukut-e-narawa

    ek ishaara ai nigah-e-naz hona chahiye

    is tarah kahiye fasana rabt-e-husn-o-ishq ka

    har-nafas sarmaya-dar-e-raaz hona chahiye

    aaj aata hai zaban par qissa-e-mehr-o-wafa

    ahl-e-dil ko gosh-bar-awaz hona chahiye

    husn-e-kafir-saz hai ghaarat-gar-e-duniya-o-din

    ishq-e-haq-agah ko dam-saz hona chahiye

    laeq-e-sad-naz hai 'nayyar' niyaz-e-ashiqi

    apni qismat par mujhe bhi naz hona chahiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now