is liye dasht mein hun makin aaj bhi
is liye dasht meñ huuñ makīñ aaj bhī
saarī vahshat hai qarya-nashīñ aaj bhī
ek sajda kiyā thā kabhī ruuh ne
jism ārāsta hai jabīñ aaj bhī
kaun kab se yahāñ mahv-e-tiryāq hai
maiñ ne dekhī nahīñ āstīñ aaj bhī
ye tah-e-ḳhāk chamkegī yūñhī sadā
is meñ so.e haiñ kuchh ham-nagīñ aaj bhī
ḳhair ho be-sutūñ āshiyāne tirī
lag rahī hai havā tāq-chīñ aaj bhī
niil tak bah ga.e us ke girdāb meñ
phir bhī 'sāgar' mukammal nahīñ aaj bhī
is liye dasht mein hun makin aaj bhi
sari wahshat hai qarya-nashin aaj bhi
ek sajda kiya tha kabhi ruh ne
jism aarasta hai jabin aaj bhi
kaun kab se yahan mahw-e-tiryaq hai
main ne dekhi nahin aastin aaj bhi
ye tah-e-KHak chamkegi yunhi sada
is mein soe hain kuchh ham-nagin aaj bhi
KHair ho be-sutun aashiyane teri
lag rahi hai hawa taq-chin aaj bhi
nil tak bah gae us ke girdab mein
phir bhi 'sagar' mukammal nahin aaj bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.