is liye gham se apni yari hai
is liye ġham se apnī yaarī hai
chiiz baḳhshī huī tumhārī hai
jo tirī yaad meñ guzārī hai
bas vahī zindagī hamārī hai
dil meñ us ko zarā samāne do
ishq ko to hayāt saarī hai
chāñd dekhā to yuuñ lagā jaise
shakl to hū-ba-hū tumhārī hai
dil ke armān rah ga.e dil meñ
be-qarārī sī be-qarārī hai
pher lī hai nigāh kyā tum ne
zindagī par sukūt taarī hai
achchhā lagtā hai hārnā un se
jītī-bāzī bhī ham ne haarī hai
koī hamdard hai na hai sāthī
ye bhī kyā zindagī hamārī hai
dāstāñ merī sun ke vo bole
kitnī dilchasp kitnī pyārī hai
jitnī chāho sameT lo 'rāmish'
us kī rahmat kā faiz jaarī hai
is liye gham se apni yari hai
chiz baKHshi hui tumhaari hai
jo teri yaad mein guzari hai
bas wahi zindagi hamari hai
dil mein us ko zara samane do
ishq ko to hayat sari hai
chand dekha to yun laga jaise
shakl to hu-ba-hu tumhaari hai
dil ke arman rah gae dil mein
be-qarari si be-qarari hai
pher li hai nigah kya tum ne
zindagi par sukut tari hai
achchha lagta hai haarna un se
jiti-bazi bhi hum ne haari hai
koi hamdard hai na hai sathi
ye bhi kya zindagi hamari hai
dastan meri sun ke wo bole
kitni dilchasp kitni pyari hai
jitni chaho sameT lo 'ramish'
us ki rahmat ka faiz jari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.