is liye lagta hun KHush-bash hazin ho kar bhi
is liye lagtā huuñ ḳhush-bāsh hazīñ ho kar bhī
saath rahtā hai koī saath nahīñ ho kar bhī
terā e'zāz-e-mohabbat thā ki tere bīmār
shahr meñ chhā.e rahe gosha-nashīñ ho kar bhī
ek bande ke na hone se ye duniyā saarī
zahr lagtī hai mujhe itnī hasīñ ho kar bhī
bebasī kahiye ise yā mirī qismat kahiye
maiñ tujhe pā na sakā tere qarīñ ho kar bhī
haa.e vo log jo har ek musībat meñ 'asar'
saath dete haiñ mirā zer-e-zamīñ ho kar bhī
is liye lagta hun KHush-bash hazin ho kar bhi
sath rahta hai koi sath nahin ho kar bhi
tera e'zaz-e-mohabbat tha ki tere bimar
shahr mein chhae rahe gosha-nashin ho kar bhi
ek bande ke na hone se ye duniya sari
zahr lagti hai mujhe itni hasin ho kar bhi
bebasi kahiye ise ya meri qismat kahiye
main tujhe pa na saka tere qarin ho kar bhi
hae wo log jo har ek musibat mein 'asar'
sath dete hain mera zer-e-zamin ho kar bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.