is liye main jurm-e-mai-noshi par aamada na tha
is liye maiñ jurm-e-mai-noshī par āmāda na thā
lams saaqī ke laboñ kā shāmil-e-bāda na thā
jis pe gul-būTe na the us par munaqqash the ḳhadang
ziist kī arzhang kā koī varaq saada na thā
ab tamannā-gāh kyoñ vīrān hai us ke baġhair
maiñ kabhī sanjīdgī se jis kā dil-dāda na thā
mere dil meñ bhī the abrū aur āñchal jā-ba-jā
kis ibādat-gāh meñ mehrāb-o-sajjāda na thā
shahr-zād-e-zindagī ik alf-lailā laa.ī thī
gosh-bar-āvāz lekin koī shahzāda na thā
kaun se jaada pe kuchh chal kar koī manzil na thī
kaun sī manzil se aage phir ravāñ jaada na thā
is liye main jurm-e-mai-noshi par aamada na tha
lams saqi ke labon ka shamil-e-baada na tha
jis pe gul-buTe na the us par munaqqash the KHadang
zist ki arzhang ka koi waraq sada na tha
ab tamanna-gah kyon viran hai us ke baghair
main kabhi sanjidgi se jis ka dil-dada na tha
mere dil mein bhi the abru aur aanchal ja-ba-ja
kis ibaadat-gah mein mehrab-o-sajjada na tha
shahr-zad-e-zindagi ek alf-laila lai thi
gosh-bar-awaz lekin koi shahzada na tha
kaun se jada pe kuchh chal kar koi manzil na thi
kaun si manzil se aage phir rawan jada na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.