is liye maine na koi minnat-o-fariyaad ki
is liye maiñ ne na koī minnat-o-fariyād kī
dekhī jaatī hī na thī bechārgī sayyād kī
dard ke motī pirotā huuñ ġhazal kī Dor meñ
parvarish kartā huuñ apnī mā’navī aulād kī
rang-o-roġhan merī dīvāroñ pe karte haiñ sabhī
fikr kartā hī nahīñ koī mirī buniyād kī
muddatoñ be-rozgārī ne rulāyā is qadar
āñsuoñ meñ bah ga.ī file mirī asnād kī
baat to ḳhair-ul-varā kī kar rahe haiñ ham magar
kar rahe haiñ pairvī qaum-e-samūd-o-‘ād kī
sach kahūñ to raah meñ kāñTe bichhāo dosto
mustafā.ī huuñ mujhe hājat nahīñ hai daad kī
mere har-sū hai mirī maañ kī du'āoñ kā hisār
rok lī hai raah 'sāgar' jis ne har uftād kī
is liye main ne na koi minnat-o-fariyaad ki
dekhi jati hi na thi bechaargi sayyaad ki
dard ke moti pirota hun ghazal ki Dor mein
parwarish karta hun apni ma’nawi aulad ki
rang-o-roghan meri diwaron pe karte hain sabhi
fikr karta hi nahin koi meri buniyaad ki
muddaton be-rozgari ne rulaya is qadar
aansuon mein bah gai file meri asnad ki
baat to KHair-ul-wara ki kar rahe hain hum magar
kar rahe hain pairwi qaum-e-samud-o-‘ad ki
sach kahun to rah mein kanTe bichhao dosto
mustafai hun mujhe hajat nahin hai dad ki
mere har-su hai meri man ki du'aon ka hisar
rok li hai rah 'sagar' jis ne har uftad ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.