is liye mausam suhana ho gaya
is liye mausam suhānā ho gayā
chāñd ke ghar ānā-jānā ho gayā
kyoñ bichhaḌtā hī nahīñ mujh se kabhī
vo jise bichhḌe zamānā ho gayā
qismatoñ vaalā hai yaaro vo shajar
jo parindoñ kā Thikānā ho gayā
tiir karne ko tumhāre kāmyāb
dil mirā ḳhud hī nishānā ho gayā
bārhā merā manā lenā unheñ
ruuTh jaane kā bahānā ho gayā
un kī āñkhoñ meñ rahā karte the ham
chhoḌiye qissa purānā ho gayā
ho gayā iqrār jab inkār se
aur bhī mushkil nibhānā ho gayā
dil ke kone meñ chhupā rahtā thā jo
ab vo bachcha bhī siyānā ho gayā
is liye mausam suhana ho gaya
chand ke ghar aana-jaana ho gaya
kyon bichhaDta hi nahin mujh se kabhi
wo jise bichhDe zamana ho gaya
qismaton wala hai yaro wo shajar
jo parindon ka Thikana ho gaya
tir karne ko tumhaare kaamyab
dil mera KHud hi nishana ho gaya
barha mera mana lena unhen
ruTh jaane ka bahana ho gaya
un ki aankhon mein raha karte the hum
chhoDiye qissa purana ho gaya
ho gaya iqrar jab inkar se
aur bhi mushkil nibhana ho gaya
dil ke kone mein chhupa rahta tha jo
ab wo bachcha bhi siyana ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.